Friday 27 September 2013

yaadein (memories)

ye yaadein kitni ajeeb hoti hain, mann ke aangan main dabe paaon chali aati hain… aa jaati hain bin bulae, bin pukare aur bin batae. woh bana jaati hain mujhe woh jo main tere saath tha – kuch khush sa kuch pura sa, kabhi jalta toh kabhi bujhta, teri awaaz se jee uth-ta aur teri hasi se khil jaata hua woh purana sa main.. aksar bheed main talashta rehta hun tujhe, aksar apne zinda hone ke sabut ekathe kiya karta hun – kabhi has kar kabhi ro kar aur kabhi baarish main jaame pani main apne aks ko nihar kar. tanha rehna chahta hun ab, teri yaadon ke bina. nahi chahiye ab ye yaadein bhi ki jo tu na mil paya mujhe. le ja har woh lamha jo tere saath jiya tha maine, woh har lamha jo ab tere bin marr raha hun main bas wahi rehne de.