ye yaadein kitni ajeeb hoti hain, mann ke
aangan main dabe paaon chali aati hain… aa jaati hain bin bulae, bin pukare aur
bin batae. woh bana jaati hain mujhe woh jo main tere saath tha – kuch khush sa
kuch pura sa, kabhi jalta toh kabhi bujhta, teri awaaz se jee uth-ta aur teri
hasi se khil jaata hua woh purana sa main.. aksar bheed main talashta rehta hun
tujhe, aksar apne zinda hone ke sabut ekathe kiya karta hun – kabhi has kar
kabhi ro kar aur kabhi baarish main jaame pani main apne aks ko nihar kar. tanha
rehna chahta hun ab, teri yaadon ke bina. nahi chahiye ab ye yaadein bhi ki jo
tu na mil paya mujhe. le ja har woh lamha jo tere saath jiya tha maine, woh har
lamha jo ab tere bin marr raha hun main bas wahi rehne de.
ye yaadein bhi kitni ajeeb hoti hain. abhi
bhi kahin bacha hai tu mujhme, bas har saans ke saath yaad kar liya karta hun
tujhe. utna pyaar tere saath reh kar tujhe nahi kar paya jitna tujhe kho dena
par karne laga hun. sochta tha samjhdar khudko, samjh toh ab aae hai. haste
hain log mere deewanepan pe, samjhatein hain mujhe ki zindagi rukne ka nahi badne
ka naam hai. main nahi samjha pata unhe ki meri zindagi toh ussi raat ruk gae thi
jis raat kho diya tha tujhe maine. zindagi main aise an-geenat lamhe aae hain
jab chaha hai maine ki waqt tham jae, sach bolun toh zindagi ka thamna kise
kehte hain ab samjha hun main.
nahi ab nahi kahunga ki ye yaadein ajeeb
hoti hain, ab ye yaadein hi toh meri apni reh gae hain.
No comments:
Post a Comment